80s toys - Atari. I still have
PARVEEN SHAKIR
khuli ankhon main sapna jagta hai
khuli ankhon main sapna jagta hai wo soya hai k kuch kuch jagta hai teri chahat k bhige jangalon main mera tan mor ban k nachata hai mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe wo mere sab hawale janta hai kisi k dhyan main duba hua dil bahane se mujhe bhi talta hai sarak ko chor kar chalna parega k mere ghar ka kacha rasta hai smscraze.xtgem.com
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
apni ruswai tere nam ka charcha dekhun ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun sab ziden us ki main puri karun har bat sunun ek bache ki tarah se use hansta dekhun mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah ang ang apna usi rut main mahakta dekhun tu meri tarah se yakta hai magar mere habib ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun smscraze.xtgem.com
ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne bat to sach hai magar bat hai ruswai ki wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya bas yahi bat hai achi mere harjai ki tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab- e-tanhai ki us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha ruh tak a gai tasir masihai ki smscraze.xtgem.com
wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega masla phul ka hai phul kidhar jayega ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai ek jhonka hai jo ayega guzar jayega wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye mausam-e-gul mere angan main thahar jayega akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega smscraze.xtgem.com
Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi tumhin the badle hue ya meri nigahen thin tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai tumhare ohad ki denen tumhen mubarak so tum ne mera swagat usi tarah se kiya jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai takallufan mere nazdik a k baith gaye phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli adab par bhi koi do char tabsare faramaye magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai ujar rat ki tanhai kya qayamat hai shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai gam-e-firaq k qisse nishat-e- wasl ka zikr rawayatan hi sahi koi bat to karte smscraze.xtgem.com
HOME
Log in